subh se sham ke aasar nazar aane lage phir sahaare mujhe be-kar nazar aane lage us musafir ki naqahat ka thikana kya hai sang-e-manzil jise diwar nazar aane lage un ke jauhar bhi khule apni haqiqat bhi khuli hum se khinchte hi wo talwar nazar aane lage mere hote dil-e-mushtaq-e-sitam ke hote yar minnat-kash-e-aghyar nazar aane lage 'saif' itna bhi na kar zabt ki phir un ke huzur khamushi dard ka izhaar nazar aane lage