maal-e-soz-e-gham-ha-e-nihani dekhte jao bhadak utthi hai sham-e-zindagani dekhte jao chale bhi aao wo hai qabr-e-'fani' dekhte jao tum apne marne wale ki nishani dekhte jao abhi kya hai kisi din khun rula degi ye khamoshi zaban-e-haal ki jadu-bayani dekhte jao ghurur-e-husn ka sadqa koi jata hai duniya se kisi ki khak mein milti jawani dekhte jao udhar munh pher kar kya zabh karte ho idhar dekho meri gardan pe khanjar ki rawani dekhte jao bahaar-e-zindagi ka lutf dekha aur dekhoge kisi ka aish-e-marg-e-na-gahani dekhte jao sune jate na the tum se mere din-raat ke shikwe kafan sarkao meri be-zabani dekhte jao wo uttha shor-e-matam aakhiri didar-e-mayyat par ab uttha chahti hai nash-e-'fani' dekhte jao