karta hai bekar ki baaten kaam ki koi baat nahin ghairon jaisi baat hai teri apnon jaisi baat nahin jam sabhi ke hathon mein hai hath hamare khali hain khullam-khulla na-insafi saqi achchhi baat nahin mahfil mein jis ko bhi dekho rutha rutha lagta hai kadwahat hai aawazon mein koi mithi baat nahin kalima tera sapna tera fikr teri aur tera khayal sirf teri hi baat zaban par aur kisi ki baat nahin kahne ko to kah di tu ne apne dil ki sari baat sachchai hai lekin ye ki ye bhi sari baat nahin kaise milen hum tum se yaro kaise bulaen ghar apne gham hi gham hain pas hamare koi khushi ki baat nahin na-insafi har jaanib hai har su zulmat hi zulmat dekh ke ye sab kyun sab chup hain kahte haq ki baat nahin pahle kya kya kuchh kah dala phir ye kah kar saf gae kar dali hai bhul zaban ne sochi-samjhi baat nahin tere liye hi jita hun aur tere liye hi marta hun munh dekhi 'jawed' hain baaten dil se nikli baat nahin