karta hai koi aur bhi girya mere dil mein rahta hai koi aur bhi mujh sa mere dil mein wo mil gaya phir bhi ye lagatar udasi shayad hai koi aur bhi dhadka mere dil mein ek ranj mein duba hua be-nam musafir aaya tha badi dur se thahra mere dil mein jis sham ko bhule hue ek umr hui thi chamka hai usi sham ka tara mere dil mein ek huk si uthti hai sar-e-baam-e-tamanna wo meri khushi se kabhi rahta mere dil mein aae hain yahan tak to chalo us se bhi mil len ye dhyan bhi ek bar to aaya mere dil mein jis aag ko kahte hain qayamat se nahin kam bahta hai usi aag ka dariya mere dil mein