ranj kyun ai mah-e-kanan kijiye chaliye shukr-e-chaak-daman kijiye uzr-e-betabi ka saman kijiye hosh be-hoshi pe qurban kijiye aaj phir rakh kar bina-e-ashiyan ji mein hai bijli ko mehman kijiye be-niyaz-e-his hai meri be-khudi dard hi kab hai ki darman kijiye qissa-e-dil likh chuke 'mani' bas ab khun ke aansu zeb-e-unwan kijiye