karte hain chain baithe husn-o-jamal wale phirte hain mare mare kya kya kamal wale meri tarah se ek din bazar se jahan ke jawenge hath khali jitne hain tal wale dam de ke phansta hai ushshaq ke dinon ko main jaanta hun tujh ko zulfon ke jal wale mahshar ka marka ho jis dam jahan ke andar us din hamein bachana o lambi dhaal wale bulbul hain tere hum bhi bagh-e-jahan ke andar o gul se gal wale sumbul se baal wale tanha lahad ke andar honge gada ki surat jitne hain is jahan mein jah-o-jalal wale zulf-e-shab-e-judai teri buri bala hai is ka khayal rakhna o lambe baal wale aashiq hain hum bhi tere abru ke aur rukh ke hum ko bhi yaad rakhna badr-o-hilal wale bhule hain do-jahan ko sud-bud nahin kisi ki jo jo hain is jahan mein tere khayal wale sayyaad ne bichhaya gulshan mein dam-o-dana sun gul-ezar wale o khatt-o-khal wale meri tarah se ek din bazar se jahan ke jaenge hath khali jitne hain mal wale mansur-o-qais-o-wamiq farhad-o-'muntahi' se kya kya gae jahan se fazl-o-kamal wale