kisi chashm-e-hunar ki pasbani mein nahin rahna sitare ko ziyaada der pani mein nahin rahna ye mitti kyun mere qadmon se lipti hai ki jab main ne hamesha ke liye duniya-e-fani mein nahin rahna kahin is dastan mein ek aisa mod aaega jahan kirdar ne apni kahani mein nahin rahna tujhe hamrah to rakh lunga main lekin dil-e-sada teri babat ziyaada khush-gumani mein nahin rahna mujhe ek aisi duniya bhi basani hai jahan 'shahzad' kisi ko bhi kisi ki hukmarani mein nahin rahna