karte karte imtizaj-e-kaba-o-but-khana hum us jagah pahunche ki ho kar rah gae diwana hum sans le sakte nahin afsos aazadana hum jaane kab se hain asir-e-kaba-o-but-khana hum wo mohabbat hi nahin jis mein na hon shikwe-gile ek kahani tum sunae jao ek afsana hum der-pa nikli na fanus-e-khirad ki raushni badh gai wahshat bil-akhir ho gae diwana hum har do-jaanib ehtiyat achchhi hai jab tak ho sake yun to main aagah sab tum shama ho parwana hum ab haqiqat kya kahen kis se kahen kyun kar kahen kuchh to dekha hai ki jis se ho gae diwana hum daman-e-dil shabnam-o-gul se pakad leta hai aag khilqatan hum hain jawab-e-fitrat-e-parwana hum pasban mafhum-o-mani ko bayan karte rahen sunne wale sun chuke hain kah chuke afsane hum aa chuka hoga sar-e-tur-e-wafa musa ko hosh ab tujhe taklif denge jalwa-e-jaanana hum jite-ji ki anjuman hai jite-ji ka soz-o-saz ho gain jis waqt band aankhen na phir duniya na hum hum jo mit jaen to farq-e-dair-o-kaba bhi mite ek parda hain miyan-e-kaba-e-but-khana hum iltija hi iltija baqi hai shikwa ho chuke ab mohabbat tum se karte hain parastarana hum jab wo karte hain mohabbat par musalsal guftugu aisa kuchh mahsus hota hai ki hain begana hum