talash-e-qabr mein yun ghar se hum nikal ke chale kafan baghal mein liya munh pe khak mal ke chale hawa khilani thi duniya ki meri mayyat ko uthane wale jo kandha badal badal ke chale jagah na di hamein us shama-ru ne pahlu mein hawas bujhane ko aae the aur jal ke chale utha ke bazm se hum le chale jo khalwat mein qadam qadam pe wo ruthe machal machal ke chale yahan tak aae hain tai hum do-manzila kar ke tumhaari bazm mein pahunche hain aaj-kal ke chale shahid-e-naz ki mayyat jo dekhi gul-dar-gul kafan khasut jo aae the hath mal ke chale kamand-e-kakul-e-pechan se dur dur rahe qaza tale jo 'sharaf' us bala se tal ke chal