thahre hue na bahte hue paniyon mein hun ye main kahan hun kaisi pareshaniyon mein hun ek pal ko bhi sukun se jina muhaal hai kin dushmanan-e-jaan ki nigahbaniyon mein hun yun jal ke rakh khwab ke paikar hue ki bas ek aaina bana hua hairaniyon mein hun jab rah sahl thi to badi mushkilon mein tha ab rah hai kathin to kuchh aasaniyon mein hun aasan nahin hai itna ki bik jaun us ke hath arzan nahin hun khwah farawaniyon mein hun mujh ko bhi ilm khub hai sab madd-o-jazr ka main bhi to sab ke sath inhin paniyon mein hun 'mohsin' tamam-tar sar-o-saman ke bawajud puchho na kitni be-sar-o-samaniyon mein hun