kya dam-e-naza koi aur tamanna karte jab talak dam na nikalta use dekha karte dard-e-duri ka ba-juz marg nahin koi ilaj aise bimar ki hum koi dawa kya karte aise bhule ki kabhi phir ke na puchha tum ne kuchh to ai rahat-e-jaan pas wafa ka karte jaur sab hum ne sahe jitne kiye gardun ne duri-e-yar ko kis tarah gawara karte chashm-e-makhmur se be-khud jo na ho jate hum dil ko aatish-kada aur chashm ko dariya karte kar ke bismil jo hamein chhod diya qatil ne hum tadapte ki use dekhte kya kya karte wo ayaadat ko 'haqir' aap ki aate jo kabhi karte ehsan agar aap ko achchha karte