karun shikwa na kyun charKH-e-kuhan se

karun shikwa na kyun charkh-e-kuhan se
ki furqat dali tujh se gul-badan se

teri furqat ka ye sadma pada yar
zaban na-ashna ho gai sukhan se

dam-e-takfin bhi gar yar aawe
to niklen hath bahar ye kafan se

khila hai takhta-e-lala-jigar mein
hamein kya kaam ab sair-e-chaman se

na pahuncha gosh tak ek tere haihat
hazaron nala nikla is dahan se

dimagh-e-jaan mein hai ye bu-e-kakul
ki nafrat ho gai mushk-e-khutan se

jigar par lakh teshe gham ke nit hain
rahi nisbat hamein kya kohkan se

'surur' aata hai jab wo yaad-dilbar
to jaan bas meri ho jati hai san se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close