phal hai us but ki aashnai ka mujh ko dawa hai ab khudai ka na ladao nazar raqibon se kaam achchha nahin ladai ka aasman par nahin hilal numud nal hai teri zerpai ka gul mein thi is qadar kahan surkhi aks hai panja-e-hinai ka kis sitamgar se tu ne ai kafir tarz sikha hai dilrubai ka chadar-e-asman hazir ho tu jo astar kare razai ka waqt kya aa gaya hai sad-afsos bhai dushman hua hai bhai ka go barahman pisar wo qatil hai dil mila hai magar qasai ka kuchh mera hi nahin wo but mabud ba-khuda hai khuda khudai ka 'sehr' kya us ne kar diya jadu mujh ko dawa tha parsai ka