laDate hi nazar saqi se chakraata hai sar apna

ladate hi nazar saqi se chakraata hai sar apna
ye wo mai hai ki pite hi dikhati hai asar apna

karen wo mahfil-e-aghyar se kyon rukh idhar apna
fughan hai be-asar nala hai mayus-e-asar apna

dikhate hain jise wo jalwa-e-barq-e-nazar apna
wo rah jata hai hathon se kaleja tham kar apna

bhare gul-ha-e-nazzara se daman-e-nazar apna
muqaddar jag uthe jalwa dikhaen wo agar apna

kare tegh-e-nigah-e-naz loha tez-tar apna
lahu mein dubne ko dil bhi hai sina sipar apna

kathin rah-e-adam hai aur apni sham-e-ghurbat hai
na koi ham-safar apna na koi rahbar apna

hujum-e-arzu mein ye kahin gum ho gaya hoga
mere dil mein khud aa kar dhundh lo tir-e-nazar apna

dikha do ru-e-raushan ki jhalak sadqa jawani ka
tumhaare samne phaila hai daman-e-nazar apna

dam-e-akhir hai wo bahr-e-‘ayaadat aane wale hain
na tute aur dam-bhar rishta-e-tar-e-nazar apna

rasai dekhiye kab ta-dar-e-maqsud hoti hai
nahin juz zauq-e-sadiq aur koi rahbar apna

ye na-mumkin ki lae tab tere ru-e-raushan ki
agar munh chashma-e-khurshid mein dhoe sahar apna

azal se shahid-e-husn-e-butan ka main pujari hun
nazar aata hai but-khana to jhuk jata hai sar apna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close