qaza ka raaz hai muzmar jo chand sanson mein hayat ka bhi taaruf hai chaar harfon mein charagh fan ke jalaenge hum andheron mein shuur fikr ki mashal hai apne hathon mein shab-e-firaq chamakne lage dar-o-diwar mah-o-nujum bhi shamil hain mere ashkon mein abhi zamane mein namrud ki khudai hai zara khalil to aaen khuda shanason mein bala-kashon ne sambhaale hain tute paimane huzur aap kahan aae dil-shikaston mein wo aaine ke muqabil bhi runuma na hua wo ek shakhs jo baitha hai chhup ke aankhon mein nazar nazar hai tasadduq tere nazaron par nafas nafas hai charaghan meri nigahon mein agar 'hayat' khazaf se sadaf na ban jae shumar is ka bhi hota hai sang-rezo mein