kasak thi dil mein abhi iztirab aisa tha hamare pas tha koi ki khwab aisa tha mere junun ko fazilat-maab tum ne kiya jahan-e-ishq mein kis ka khitab aisa tha laga ki aankh hi pathra gai hai nargis ki hamare sath jo roya sahab aisa tha nazar mein koi samundar kabhi samaya nahin magar wajud hamara habab aisa tha rahen nigah mein mubham haqiqaten sab ki har ek chehre pe dohra naqab aisa tha pareshan karti hai rah rah ke ab bhi wo khushbu wafa-shiar wo rashk-e-gulab aisa tha kitab dar-o-rasan tak hi padh sake aksar kamal-e-ishq ka mushkil nisab aisa tha zamana guzra magar ab bhi hai wo dard-e-jigar azal se dil ka mere intikhab aisa tha zamana aaj bhi izzat se nam leta hai 'nazir' aap ka khana-kharab aisa tha