sada rahi ho bhale kitni be-qarar us ki mujhi tak aa ke ruki hai sada pukar us ki chaman gawara kare umr khush-gawari mein khila rahi hai jo gul shakh-e-nau-bahaar us ki guzarta hai to ajab khushbuen bikherta hai qadam qadam pe mahakti hai rahguzar us ki thamae thamta nahin dard mere sine ka rukae rukti nahin aansuon ki dhaar us ki sanwarta hai bahut kham tu us ki zulfon ke kabhi to bahr-e-khuda aadaten sudhaar us ki qaba miyan hai us ki ki bhul se bhi kahin kisi badan ko na lag jae tez dhaar us ki