rasm-e-wafa ko humne bhi ruswa nahin kiya

rasm-e-wafa ko hum ne bhi ruswa nahin kiya
har ek sitam ko sah liya shikwa nahin kiya

kahte hain is jahan mein bimar-e-ishq ko
ab tak kisi tabib ne achchha nahin kiya

samjha gaya tha jis ko mahalle mein parsa
mauqa mila to us ne bhi kya kya nahin kiya

phir yaad aa rahi hai wahi multaji-nigah
aur ashk jis ka raaz mein samjha nahin kiya

waiz ko ek bar main mai-khana le gaya
phir us ke baad mujh se wo uljha nahin kiya

hum mustaqil-mizaj hain bas ek baat mein
wo ye ki jo kiya wo dobara nahin kiya

barish ka uzr kar ke bharam rakh bhi sakta tha
afsos us ne koi bahana nahin kiya

ummid-e-wasl bhi hai magar kashmakash hai 'shan'
us ne kaha ki aaunga wada nahin kiya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close