nahin ki chaara-e-dard-e-nihan nahin malum

nahin ki chaara-e-dard-e-nihan nahin malum
dil-e-hazin ko ho manzur han nahin malum

le aai hai hamein wahshat kahan nahin malum
sawad-e-dasht hai ya gulistan nahin malum

shahid-e-naz ki mayyat chale hain dafnane
magar hai kucha-e-jaanan kahan nahin malum

hazaron khar chubhe hain hamare talwon mein
qadam hain kis liye ab bhi rawan nahin malum

subut-e-ishq mein hum jaan de to den lekin
yaqin bhi laega bad-guman nahin malum

azal se lotte angaron par hum aae hain
hai kab tak aur abhi imtihan nahin malum

ilaj kya karen hum aur kya bataen haal
kahin hai dard magar hai kahan nahin malum

jala dil aur hua rakh muddaten guzrin
ye ab utha hai kahan se dhuan nahin malum

na jaane kaun si manzil pe hai ki gum hain hawas
dil-e-hazin hai kahan hum kahan nahin malum

chaman mein hum na khas-o-khar-e-ashiyan baqi
lapak rahi hain ye kyun bijliyan nahin malum

gham-o-malal se paya kabhi na dil ne faragh
qafas mila ki hamein aashiyan nahin malum

thi qaid-e-zist ki aaghosh-e-gham kisi ki 'jigar'
ye ruh jae nikal kar kahan nahin malum

kahan gae wo shab-o-roz aur wo mah-o-sal
kabhi 'jigar' bhi hue the jawan nahin malum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close