kuchh hisab ai sitam ijad to kar kis qadar zulm kiye yaad to kar zinda ja sakte hain bahar ki nahin dekh asiron ko ab aazad to kar khak kyun chhan raha hai batla tha bhi dil pas tere yaad to kar are munh dhanp ke rone wale dam ulat jaega fariyaad to kar hae kya hoga bahaar aane tak qaidi-e-kunj-e-kafas yaad to kar wo tasalli hi sahi ai sayyaad kuchh muayyan meri miad to kar hai tanaffur jo buton se waiz sifat-e-husn-e-khuda-dad to kar ja kabhi najd ki jaanib bhi 'aziz' ruh-e-majnun ko zara shad to kar