khushiyon ko dhundne jo kabhi hum nikal pade gham jitne aas-pas the sab sath chal pade ek sard aah ne meri aisa asar kiya us but ke dil mein rahm ke chashme ubal pade sikka tha bazm-e-dahr mein jin ka kabhi rawan be-nang-o-nam honge kahin aaj-kal pade insan to he wahi jo badal de hawa ka rukh insan wo kya jo sath hawaon ke chal pade sahwan jo hum se zikr-e-wafa ho gaya kabhi un ki jabin-e-naz pe kya kya na bal pade ye bankpan ye husn ye masti bhari ada khud tu bhi dekh le to tera dil machal pade apna kaha tha hans ke mujhe us ne ek bar ab din ko chain aae na shab hi ko kal pade dil hai wahi jo rakhta ho tab-e-jamal-e-tur wo kya jo ek jugnu ki lau par machal pade tadpa tha jis khushi ke liye 'sehr' umr bhar jab wo khushi mili mere aansu nikal pade