kashida sar se tawaqqoa abas jhukaw ki thi bigad gaya hun ki surat yahi banaw ki thi wo jis ghamand se bichhda gila to is ka hai ki sari baat mohabbat mein rakh-rakhaw ki thi wo mujh se pyar na karta to aur kya karta ki dushmani mein bhi shiddat isi lagaw ki thi magar ye dard-e-talab bhi sarab hi nikla wafa ki lahr bhi jazbaat ke bahaw ki thi akele par utar kar ye nakhuda ne kaha musafiro yahi qismat shikasta naw ki thi charagh-e-jaan ko kahan tak bacha ke hum rakhte hawa bhi tez thi manzil bhi chal-chalaw ki thi main zindagi se nabard-azma raha hun 'faraaz' main jaanta tha yahi rah ek bachaw ki thi