tu hai kaba mein to phir dil mein guzar kis ka hai la-makan tera agar hai to ye ghar kis ka hai rokne aaen farishte to main ruk jaunga talib-e-did hun tera mujhe dar kis ka hai saf qadmon se tere ja ke lipat jaega tere aashiq ke siwa aisa jigar kis ka hai dil to aaghaz-e-mohabbat mein hua hai tera apni gardan pe hai jo bar ye sar kis ka hai qais-e-wahshi ka banaya mujhe sani kis ne ishq-e-sadiq ka nahin hai to asar kis ka hai tere inkar ne dala hai tahayyur mein mujhe dil mein aur aankhon mein dar-parda guzar kis ka hai kya tamasha hai 'jamila' ki wo puchhe mujh se dasht-e-ghurbat mein ye dil khak-basar kis ka hai