kisi ko bhul ke bhi apna raaz-dan na bana jo tera dost hai us ko adu-e-jaan na bana hai mukhtasar sa fasana hayat-e-do-roza tu ranj-o-gham ki tawil ek dastan na bana ye khak-dan hai har ek chiz hai yahan pamal tasarrufat-e-mah-o-khur se aasman na bana jo dar-o-gir mein amn-o-aman ki khwahish hai tu aarzu-e-nawadir ko mehman na bana uda mazaq na tahzib aur tamaddun ka khirad ko behuda-go dil ko be-inan na bana kuchh ehtiram to lazim hai ahd-e-piri ka nazar-farosh na ho hirs ko jawan na bana