kis shor-e-jahannum mein faza Dub chali hai

kis shor-e-jahannum mein faza dub chali hai
dil dhadke hai sine mein nawa dub chali hai

wo khun ki maujen hain har ek su ki kamar tak
farkhanda jamalon ki qaba dub chali hai

wo habs ka aalam hai ki har sans hai ghayal
kya zikr hua nabz-e-hawa dub chali hai

kya jaaniye kis goshe se umdi hai siyahi
kya kahiye ki kirnon ki rida dub chali hai

is shor mein kya koi sunega meri aawaz
jis shor mein matam ki sada dub chali hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close