kisi ki yaad mein likkha hai jo kuchh yahi kuchh hai mera apna hai jo kuchh usi ka aks hai lafzon mein mere nazar ke samne duniya hai jo kuchh zarurat-mand hun mujh ko ata kar sakhi data mera hissa hai jo kuchh chura le jaegi baad-e-saba bhi chhupa kar phul ne rakkha hai jo kuchh muqaddar hai isi ka nam shayad mujhe wo be-talab deta hai jo kuchh bata dengi hawaen har kisi ko lab-e-ashjar par qissa hai jo kuchh mah-o-khurshid to kuchh bhi nahin hain meri mitti ka ek zarra hai jo kuchh kisi din wo bhi le jaega koi sar-e-bazar-e-jaan sauda hai jo kuchh kahan tak main tajassus mein rahunga utha do darmiyan parda hai jo kuchh nahin sujha jo ab us ka abhi tak kisi ki aankh ne puchha hai jo kuchh nahin kuchh aur pane ki tamanna ghanimat hai yahan paya hai jo kuchh use tahrir karta ja raha hun meri sochon ka afsana hai jo kuchh bhanwar hon ya khas-o-khashak 'shahid' hamara hai sar-e-dariya hai jo kuchh