kati hai umr yahan ek ghar banane mein haya na aai tumhein bastiyan jalane mein bana diya tha jahan ko khuda ne kun kah kar karodon sal lage hain ise basane mein fareb de ke tumhein kya sukun milta hai hamein to lutf mila hai fareb khane mein ata ho daulat-e-iman hamein bhi be-payan kami nahin hai khudaya tere khazane mein hawa ke madd-e-muqabil charagh rakh dena mizaj-e-ishq raha hai ye har zamane mein 'atiq' ye hi dua hai ki rahti duniya tak charag-e-ilm ho raushan gharib-khane mein