meri fariyaad pe roya hai chaman mere baad khil gae aur bhi ghunchon ke dahan mere baad sarfaroshi ka na zinda raha fan mere baad khud se uljha hi kiye dar-o-rasan mere baad barhami teri rahi meri wafa tak baqi kis ne dekhi tere mathe pe shikan mere baad dil ko us zulf-e-pareshan mein giraftar hi rakh phir bane ya na bane zulf-e-rasan mere baad aaj bedad ko tum had se guzar jaane do bhul jaoge qayamat ka chalan mere baad qabil-e-qadr tha 'iqbaal' unhen hai taslim yaad aaya hai mera tarz-e-sukhan mere baad