tamiz apne mein ghair mein kya tumhein jo apna na kar sake hum har ek mahfil hui gawara tumhaari mahfil se kya uthe hum sahar pasheman-e-arzu hain charagh-e-shab the so jal bujhe hum khiraj ashkon ka khun-e-dil se jo hum ko lena tha le chuke hum na shama kanpi na git dube uthe jo hum un ki anjuman se chalo bas achchha hua ki aise kahan ke mahfil-faroz the hum na hum syahi na hum ujala charagh hain ashk-e-arzu ke ki hum sar-dasht-e-be-karan hain sulagte rahte hain sham se hum nazar uthao to jhum jaen nazar jhukao to dagmagaen tumhaari nazron se sikhte hain tariq maut-o-hayat ke hum karen jo shikwa zaban kahan hai zaban mein tab-e-fughan kahan hai kahan ka pardes kaisi ghurbat watan ki galiyon mein lut gae hum hamari rudad mukhtasar hai wafa kahan ki jafa kahan ki ba-rang-e-gul muskura diye wo ba-tarz-e-shabnam bikhar gae hum 'aziz-qaisi' kahan rahe to ki raat us but ki anjuman mein hujum-e-naghma mein zikr sun kar kisi diwane ka ro pade hum