khushbu hai kabhi gul hai kabhi shama kabhi hai wo aatish-e-sayyal jo sine mein bhari hai baada-talbi shauq ki daryuza-gari hai sad-shukr ki taqdir hi yan tishna-labi hai ghunchon ke chatakne ka saman dil mein abhi hai milne mein jo uth uth ke nazar un ki jhuki hai ab zabt se kah de ki ye rukhsat ki ghadi hai ai wahshat-e-gham der se kya soch rahi hai masum hai yaad un ki bhatak jae na rasta khun-gashta tamannaon ki kyun bhid lagi hai yaadon se kaho sola-singar aaj karaen aaina-ba-kaf hasrat-e-didar khadi hai lab si liye andesha-e-dushnam-e-jahan se ab apni khamoshi hi ek afsana bani hai thahri hai to ek chehre pe thahri rahi barson bhatki hai to phir aankh bhatakti hi rahi hai