katta hai azab sher kah kar milta hai sawab sher kah kar dekhun kya gul khila rahe ho lao to jawab sher kah kar kya sher ke jauhari yahin hain laya hun janab sher kah kar nind aaegi is wazife ke baad dekhunga khwab sher kah kar koi mera mo'tarif nahin hai main hun be-tab sher kah kar kuchh log kharab ho rahe hain bechaare kharab sher kah kar guldasta-e-fikr-e-nau yahi hai khilte hain gulab sher kah kar tu khush hai ki aaya waqt-e-tanqid main hun shadab sher kah kar mera hi bharam badha rahe hain mere ahbab sher kah kar 'yasir' tu dil-girafta kyon hai la aur kitab sher kah kar