muntazir chashm-e-do-alam hai ki lamha bhar khule

muntazir chashm-e-do-alam hai ki lamha bhar khule
dekhne ki tab ho to wo rukh-e-anwar khule

rashk hai us par sadaf ko aankh mein rahta hai wo
ahl-e-dil ho jauhari to jauhar-e-gauhar khule

shab sajae rakhti hai us ke liye aaghosh-e-husn
khwab mein aae na hum par wo pari-paikar khule

kaam leta hai jarahat ka nigah-e-narm se
khulte khulte hum pe sab atwar-e-chara-gar khule

mehr-e-taban us ki tabani se jal jae 'ali'
meri peshani ko chhu kar qismat-e-nayyar khule


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close