khudi ke zoam mein aisa wo mubtala hua hai jo aadmi bhi nahin tha wo ab khuda hua hai wo kah raha tha bujhaega pyas sahra ki mera ek abr ke tukde se rabta hua hai tumhaara tarz-e-bayan khub hai magar sahab ye qissa main ne zara mukhtalif suna hua hai ye mitti panw mere chhodti nahin warna falak ka rasta bhi samne pada hua hai usi ke hath pe baiat main kar ke aaya hun jo budha ped kadi dhup mein khada hua hai khiraj mangta hai mujh se ye badan mera ki lauh-e-dil pe tera nam bhi likha hua hai wo mujh ko dekh ke rasta badal gaya 'arshad' zara si der mein us ko ye jaane kya hua hai