katunga shab tadap kar ro kar sahar karunga furqat mein teri jaanan yun hi basar karunga kahta hai ishq-e-dilbar furqat mein ho na muztar dil mein guzar karunga aankhon mein ghar karunga aata nahin wo dilbar kahta hai roz mujh se aane ki apne tujh ko pahle khabar karunga tum ja rahe ho jao ai but mera khuda hai sine ko ranj-e-furqat patthar jigar karunga qatron mein chashm-e-tar ke taswir-e-dil-ruba hai hasrat se kyun na us ki jaanib nazar karunga aashiq ka qafila ab jata hai un ke dar par bang-e-jaras banunga nalon ko sar karunga turbat ko dekh kar main kahta hun ai 'jamila' ai gor main bhi tera aabaad ghar karunga