kaun aashna hai kis pe nazar jae shahr mein aakhir gharib-e-shahr kidhar jae shahr mein shishon se haar kar talab-e-sang mein koi simte to reza reza bikhar jae shahr mein itna bhi tang arsa-e-jaan shahr par na kar roz ek qabila jaan se guzar jae shahr mein ab tak qadam hi dhup mein thahre hain is taraf tu chhanw de to dil bhi thahar jae shahr mein sahra ki aag pakke gharon tak to aa gai ab ye bhadakti aag jidhar jae shahr mein itna na sochta chale bazar mein koi ghar us ka muntazir ho wo mar jae shahr mein