yun to khud apne hi sae se bhi dar jate hain log hadse kaise bhi hon lekin guzar jate hain log jab mujhe dushwariyon se ru-ba-ru hona pada tab main samjha reza reza kyun bikhar jate hain log sirf ghaza hi nahin chehron ki ranai ka raaz shiddat-e-gham ki tapish se bhi nikhar jate hain log masale aa kar lipat jate hain bachchon ki tarah sham ko jab laut kar daftar se ghar jate hain log har 'nafas' mar mar ke jite hain tujhe ai zindagi aur jine ki tamanna mein hi mar jate hain log