khirad ke jumla dasatir se mukarte hue phir aaj dil se laga baithe nam barte hue sadaen do ki koi karwan-e-gham thahre hamein to ras na aaenge din sanwarte hue jo mahw-e-raqs rahe rang-o-nur ke chau gird bikhar gae hain teri lau ka tauf karte hue wo takht-e-jaan tha jahan teri taj-poshi ki so kis jigar se tujhe dekh lun utarte hue hua tha hukm-e-safar dil magar tha ru-gardan so rah mein baith rahe dil pe dosh dharte hue tumhaare nam ke hijje sanwar kar us mein ab apna nam milaenge rang bharte hue junun pe tan karen parsai ke waiz hawas ke kucha-e-rangin se guzarte hue sahar qarib hui aao aankh mein bhar len ye para para tamannaen khwab marte hue