kis ja na be-qarari se main khasta-tan gaya par dekhne ka us ke kahin dhab na ban gaya kis kis tarah ki ki khafagi dil ne mujh se aah rutha kisi ka yar kisi se jo man gaya yaro jahan mein ab kahin dekhi wafa ki chaal jaane do ye na zikr karo wo chalan gaya sausan zaban nikale jo nikli to zer-e-khak kya jaaniye ki kaun ye tishna-dahan gaya ai ishq sach to ye hai ki shirin ne kuchh na ki hasrat ka koh dil pe liye kohkan gaya bas naseha ye tir-e-malamat kahan talak baaton se teri aah kaleja to chhan gaya kal us sanam ke kuche se nikla jo shaikh-e-waqt kahte the sab idhar se ajab barhaman gaya paida ye hijr-e-yar mein wahshat hui ki aah is dil ka wasl mein bhi na diwana-pan gaya hairan hai tujh ko dekh ke 'jurat' meri to aql do chaar din mein kya ye tera haal ban gaya