kaun hai dard-ashna sang-dili ka daur hai dil ka diya bachaiye aaj hawa kuchh aur hai sare jahan ki sham-e-gham subh-e-bahaar ban gai meri sahar ka masala aaj bhi zer-e-ghaur hai nashsha-e-dard kho gaya saqi-e-dard so gaya mahfil-e-dil mein jaen kya tishna-labi ka daur hai khun-e-jigar se umr bhar qarz-e-hayat ada kiya phir bhi yahi suna kiye roz-e-hisab aur hai dair o haram ke darmiyan dhundiye kyun 'shamim' ko abr o shafaq ko dekhiye mera khayal aur hai