mohabbat ka taqaza hai ghamon se chur ho jaana kabhi hansna kabhi rona kabhi majbur ho jaana tumhaari kaj-adai ne bhi mujh se khel khela hai mera badnam ho jaana tera mashhur ho jaana hamare dil ka afsana jahan tak yaad aata hai faqat pahli nazar mein gir ke na-manzur ho jaana meri pine ki aadat bhi ajab se gul khilati hai jahan dekhi hasin aankhen wahin makhmur ho jaana zamana bhar to patthar hai faqat hain aabgine hum zara si thes kya pahunchi ki chakna-chur ho jaana kabhi jo aaina dekha wahin sharma gae khud se unhen aata hai kaise husn se maghrur ho jaana kamal un ki tabiat hai kabhi bigde kabhi sanwre karen jo lab-kushai bhi wahi dastur ho jaana hamari haalat-e-dil ka bharosa bhi nahin 'barham' jahan manzil nazar aae wahan se dur ho jaana