kaun jaane ki takhayyul mein hain paikar kitne but tarashega abhi aur ye aazar kitne hum ne ek qatre ka ehsan gawara na kiya pi gae log khuda jaane samundar kitne yaad aate hi teri aae khayalon ke hujum ek paikar se tarashe gae paikar kitne ho wo mazhab ka labaada ki siyasat ka libas log phirte hain yahan bhes badal kar kitne shahr phulon ka jise hum ne samajh rakkha tha hum pe phenke gae us shahr mein patthar kitne jo kuchh in aankhon ne dekha hai wahi kya kam tha aur dekhenge abhi dekhiye manzar kitne ek saqi ke na hone se hai mahaul udas aaj tode gae maikhane mein saghar kitne bijliyan girtin chaman par to koi baat na thi aatish-e-gul ne jalae hain yahan ghar kitne dil wo qatra hai ki hasti nahin jis ki mahdud isi qatre mein hain poshida samundar kitne ek tum hi nahin duniya-e-adab mein 'jauhar' hain isi bahr mein kya jaaniye gauhar kitne