main tirgi se guzarta hun raushni ki tarah mujhe shuur hai jine ka aadmi ki tarah yahi ada thi yahi naz tha yahi shokhi ek aur shakhs bhi dekha tha aap hi ki tarah main un se mahw-e-takallum wo mujh se garm-e-sukhan main zindagi se mukhatib hun zindagi ki tarah khata muaf ye milna bhi koi milna hai tum apne ho ke bhi milte ho ajnabi ki tarah tera jamal hai aaina-dar-e-zat-o-sifat tera khayal hai suraj ki raushni ki tarah kisi ki yaad ki khushbu hai misl-e-bu-e-chaman kisi ki zulf ka saya hai chandni ki tarah meri hayat meri kaenat ke malik main chahta hun tujhe apni zindagi ki tarah badan mahak uthe khushbu-e-yar se 'jauhar' agar hayat ho phulon ki tazgi ki tarah