yaad ke shahr meri jaan se guzar

yaad ke shahr meri jaan se guzar
qurb ke aakhiri imkan se guzar

jal bujhi thi main tere khilne tak
ab meri khak-e-pareshan se guzar

aks bunne laga sahra tere
mere suraj rukh-e-taban se guzar

zakhm gar mere ho kuchh aur ata
han abas nashtar o paikan se guzar

uth chukin gul-sukhani ki rasmen
gosh-e-jaan harf-e-bahaaran se guzar

aakhiri lau na bujha jae kahin
shab-e-jaan mein ruke mehman se guzar

ai mere abr meri mitti ki
tishnagi par sar-e-mizhgan se guzar

aankh ab tirgi-e-gham se bujhi
ashk-e-khun jashn-e-charaghan se guzar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close