kisi surat junun ki fitna-samani nahin jati

kisi surat junun ki fitna-samani nahin jati
bahaar aati hai lekin khana-virani nahin jati

wo yun altaf karte hain ki jaise bagh se aksar
khizan madum ho jati hai virani nahin jati

wo aate hain magar mera tadapna kam nahin hota
wo milte hain magar meri pareshani nahin jati

wo yun aate hain jaise ghar ki surat tak nahin bujhi
wo yun milte hain goya shakl pahchani nahin jati

shabab aaya to aai ghairiyat bhi un ke hisse mein
ki pahchani hui surat bhi pahchani nahin jati

wahi israr-e-tiflana ki dekhen dard-e-dil hum bhi
jawan hone ko aae aur nadani nahin jati

hayat-e-jadwal-e-bar-ab mein kya ranj kya rahat
magar is aagahi par bhi pareshani nahin jati

yaqinan aap aae hain yaqinan aap hi wo hain
magar mayusi-e-paiham ko hairani nahin jati

bhala ab kaun hai pursan-e-arbab-e-sukhan 'bismil'
magar phir aap ki khu-e-ghazal-khwani nahin jati

mohabbat ka karishma yun bhi dekha hai kabhi 'bismil'
ki dariya khushk ho jata hai tughyani nahin jati


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close