lambi khamoshi ki sazish ko harae koi meri aawaz mein aawaz milae koi main bhi ud sakta hun aakash ko chhu sakta hun mera soya hua ehsas jagae koi koi to hoga mujhe dhundne wala yaro mera gumnam pata sab ko batae koi aisa lagta ki sab bhul gae hain mujh ko mere darwaze pe aawaz lagae koi har taraf sirf sarab aur sarab aur sarab kab tak aankhon se bhala pyas bujhae koi sach hai main ne hi khamoshi ki guzarish ki thi ab meri gum-shuda aawaz to lautae koi jis ko sun kar mere darwaze pe lag jae hujum is tarah ki koi afwah udae koi