khushk aaankhon se kahan tai ye masafat hogi dil ko samjhaya tha ashkon ki zarurat hogi rang mahlon ke hasin khwab se bach kar rahna hai khabar garm ki khwabon ki tijarat hogi apne ghar khud hi pasheman sa laut aaya hun main samajhta tha use meri zarurat hogi meri tanhai sukun dene lagi hai mujh ko us se mat kahna sunega to nadamat hogi khushk lab pyas ki taswir ke andar rakh do pyas bujh jaegi dariya ko bhi hairat hogi silsila jalte charaghon ka chalo khatm hua tirgi khush hai hawaon ko bhi rahat hogi kab sahar phutegi koi tere zindanon se kab rihai meri ai shahr-e-aziyyat hogi jaise mumkin ho in ashkon ko bachao 'tariq' sham aai to charaghon ki zarurat hogi