kaun tha wo khwab ke malbus mein lipta hua raat ke gumbad se takra kar palat aai sada main to tha bikhra hua sahil ki pili ret par aur dariya mein tha nila aasman duba hua soch ki sukhi hui shakhon se murjhae hue tut kar girte hue lafzon ko main chunta raha jab bhi khud ki khoj mein nikla hun apne jism se kali tanhai ke jangal se guzarna hi pada phailta jata hai thandi chandni ke sath sath shoala shoala lazzaton ki tishnagi ka daera