jo chiz thi kamre mein wo be-rabt padi thi tanhai-e-shab band-e-qaba khol rahi thi aawaz ki diwar bhi chup-chap khadi thi khidki se jo dekha to gali ungh rahi thi baalon ne tera lams to mahsus kiya tha lekin ye khabar dil ne badi der se di thi hathon mein naya chand pada hanp raha tha ranon pe barahna si nami reng rahi thi yaadon ne use tod diya mar ke patthar aaine ki khandaq mein jo parchhain padi thi duniya ki guzarte hue padti thin nigahen shishe ki jagah khidki mein ruswai jadi thi tuti hui mehrab se gumbad ke khandar tak ek budhe moazzin ki sada gunj rahi thi