kaun yan sath liye taj-o-sarir aaya hai yan to jo aaya hai pahle so faqir aaya hai ishq laya hai faqat ek hi sine ki sipar husn bandhe hue sau tarkash-o-tir aaya hai kal kisi shakhs ne us shokh se ja kar ye kaha aaj dar par tere ek aashiq-e-pir aaya hai pusht kham-karda asa hath mein gardan hilti zoaf-e-piri se nihayat hi haqir aaya hai sun ke ye shakl-o-shabahat teri us shokh ne aah wahin malum kya ye ki 'nazir' aaya hai