zaban sukhan ko sukhan bankpan ko tarsega sukhan-kada meri tarz-e-sukhan ko tarsega nae piyale sahi tere daur mein saqi ye daur meri sharab-e-kuhan ko tarsega mujhe to khair watan chhod kar aman na mili watan bhi mujh se gharib-ul-watan ko tarsega inhi ke dam se farozan hain millaton ke charagh zamana sohbat-e-arbab-e-fan ko tarsega badal sako to badal do ye baghban warna ye bagh saya-e-sarw-o-saman ko tarsega hawa-e-zulm yahi hai to dekhna ek din zamin pani ko suraj kiran ko tarsega